Indian Singers

Saturday, May 07, 2005

An Interview Of Mukesh with Himanshu Kumar Bhaduri At B.B.C. London

An Interview Of Mukesh with Himanshu Kumar Bhaduri At B.B.C. London

Himanshu : Aap se miliye, Mukesh, Bharat ke mashhoor filmi gayak.

Himanshu : Mukeshji , Sabse pahle to ye bataiye ki , Yahan kis silsile mein aapka aana hua ?

Mukesh : Main yahan aaya hoon ji , Kuch "performences" dene ke liye , Jagah - jagah par. London mein ji 3-4 show karen . Apne troop ke sung aaya hoon , Babala bhai ke saath shows de raha hoom .

Himanshu : To kis tarah ki sabhaye ho rahi hain ? Is mein aap hi gaate hain ya !

Mukesh : Main gaata bhi hoon aur !! Babala bhai ka bahut achcha orchestra hai . Aap kabhi tashreef laaiye, Dekhiye ! aur kuch thode mimic hain . Ek dance ka bhi thoda item hain .Variety of intertainments.

Himanshu : Achcha mila - jula progarme hai.

Mukesh : Jee haan .

Himanshu : Achcha yahan ke jo programe , jo ab taq aapne kiyen hain , Jo sabhaye huin hain...

Mukesh : Haan jee

Himanshu : ...Vo aapki raay mein kitne kamyab huen hain ?

Mukesh : Main samajhta hoon ki, kuch hamari shows jo hain , vo suffer kar rahin hain kyonki ek to hum galat seesan par aa gaye hain... Dhand bahut ho gayi hai..

Himanshu : ...Jee

Mukesh : ...Khash toor par jahan hum north mein gaye to wahan to bahut hi jyada dhand thi , Ek to uski vajah se aur kuch hamare sayad sponsors bhi inexperienced hain is vajah se aur aage to mujhe...

Himanshu : Sponsors yaane jin logo ne aapke yahan aane ka intjaam kiya..

Mukesh : ... Jee haan... Jee haan

Himanshu : Aapki sabhayoon ka intjaam kiya

Mukesh : ... Jee haan... Haan jee

Himanshu : Yoon Bharat Mein... , Jahir hai...Jab aap filmon mein vyast nahi hote , To samay nikal kar is tarahn ki sangeet sabhayen jaroor karten hogen... aaan.. Kya Bharat ki in sabhayoon mein , in programon mein , aur yahan ki sabhayoon mein kuch aap ne antar paya , koi fhark aapne dekha ?

Mukesh : Bahut fark hai !

Himanshu : Kis tarah se ?

Mukesh : Is tarah se ke wahan pe jyada hain , jyada ordiance hoti hai , jyada appreciative ardience hoti hai .Aur agar pasand nahi aata to jyada galiyaan dene wale log hote hain ( Hhanste hue )

Himanshu : To Yahan... to yahan ye jaan kar khushi hui ki gaali dene wale log nahi

Mukesh : ( Joor se hansten hain ) Jee haan !!

Himanshu : Kya aapko yahan kabhi aesa laga ki , yahan rahne wale jo bhartiya hain , jo yahan aakar bas gaye hain , vo mulk se apna nata tod baithe hain aur khaskar filmi duniya ki khabar unhe nahi rahi , ya usse bahut door ho gaye hain

Mukesh : Nahi ! aesi feeling kabhi nahi hui .

Himanshu : Nahi hui !

Mukesh : kabhi nahi .

Himanshu : Yaane ki jo gaane aapke Bharat mein lokppriya hain , popular hain...

Mukesh : Vo.. vo yahan par bhi hain . Yahan tak ki balki , Mujhe bada tajjub hua tha ki bhai latest picture jo relese hui thi "Be-iman" Mujhe !! mujhe umeed nahi thi ki uske gaane yahan aa gaye honge , magar... taqreeban - taqreeban jitne show mein main gaya . Sab logon ne us gaane ki jaroor request kari mujhse.

Himanshu : Kisi tarah ki koi uljhan aapne mehsoos ki ... Koi embarrassment.... Yahan ki koi khash maang hai janta ki , Yahan ke sunnne walon ki , jo aap nahi de pa rahen hain

Mukesh : Jee nahi.. Jee nahi.. Vo ek... kabhi kabhi punjabi gane ki liye request log karten hain to budkismati se mujhe bahut achchi tarah se punjabi nahi aati is liye... unki vo maang main puri nahi kar paata hoon .

Himanshu : Punjabi nahi aati aapne khoob kaha . Mian... soch raha tha aapse poochon.. Aksar maise suna hai ki , Bharat ke jitne mashhoor gaane wale hain... Aap hain.. Lata Mangeshkar , Rafi inko maine tarah - taraj ki jubanon mein gaana gate suna hai aur aap bhi sayad Gujrati mein gaa chuke hain...

Mukesh : haan jee... Maine Gujrati mein bhi gaya hai... aese maine recording Punjabi mein ki hai . Aesa hai jee... recording karte waqt to itna mushkil nahi hota hai . Ek to... jo... jis aadmee ne gaana likha hota hai...vo hamare paas hota hai koch ki tareeke se. Vo hamen koch karta rahta hai . Aur ek ye ki agar galat ga do to ye confidence hota hai ki ise phir record kiya jayega. To vo confidence ek hota hai saath mein jo freely record kar lete hain .

Himanshu : Ye kis tarah karte hain aap ? Jara Mujhe bataiyega !!.

Mukesh : Jaise maine ek gaana gaya... Farj kijyee.. Aapne...Aapne vo gaan likha hai... Aapne kaha ki bhai ye lafhj galat bola hai , phir use dobara record kar liya . Jab aapne kaha ki bhai ye dheek ho gaya . O. K.

Himanshu : Lakin kayi gaane maine aise bhi sune hain... Aaaa... Naam to khair nahi lena chahunga...

Mukesh : Jee...

Himanshu : Jinme ki talafuujh bada galat hai , Vo baat nahi rahi , to in gaano mein jyada dhyan nahin diya jata . Kya ye kahenge aap ?

Mukesh : Nahin... Agar... Matlab..

Himanshu : Aap ye kahne ki koshish kar rahe the ki agar kisi aur bhasha mein gaana ho to...

Mukesh : Ek talafuujh hi... ek talafuujh hi nahi jee...Ek.. Matalab ek confidence hota hain na , jab aap stage par jaate hain.. Ek confidence se gaane ka irada hota hai . Vo confidence nahi hota agar aap thodi bhi jhijhak aapke man mein ho ki , Sayad main hundred percent perfection ke saath na ga sakoon . To thodi si jhijhak rahti hai aadmi ke andar . Aur talafujjh ke andar aisa hai ki , Main nahi samajhta ki koi record aesa ho ki jismein koi playback singer kaaf aur kaafh ka agar farak kar de ... phir..phir to pata nahi ki aapke jahan mein ho aisa koi khash record.

Himanshu : Khair ! Yahan aapne kai jagah-jagah gaane gaaye aur jahir hai aur bahut se logon se mile bhi hongen Aapne dekha hoga ki kai loog aese bhi hain jo 15-20 saal pahle yahan aa gaye the aur unke jahan mein vahi gaane hain vo Mukesh ko usi tarah jante hain jis tarah vo chood aaye the !!!

Mukesh : Haan jee...

Himanshu : To... to mumqin hai unhone aese gaane ki farmayish ki ho jo ki vo sun aaye the jo ki aap 15-20 saal pahle gaa chuke hon .

Mukesh : Jee haan... unki sab farmayishe puri ki gayi .

Himanshu : Puri ki...

Mukesh : Haan... Aur mujhe. . aur mujhse jyada abhi hamare sang Anandji bhai the , unko bada tajjub hua , ki 20-20 , 25-25 saal purane gaane - Parwarish ke - Aansoo bhari hain ye zeevan ki raahen , Dil jalta hai to jalne de aansoo na baha fariyaad na kar yaani purane - purane gaane . Aese - aese gaane jinki kabhi umeed nahi karte the , unki request karten hain .

Himanshu : To kya aap ke kahne ka matlab ye hai ki jo gaane aapne 15-20 saal pahle gaaye , vo abhi tak aapko yaad hain ?

Mukesh : Haan...Ye Aakhir... Baat ye hai jee ki aksar bombai mein bhi main jab rahta hoon , hafte mein do ya teen performences kahin na kahin karni padti hain aur aksar jab main show mein jaata hoon to kuch gaane aese hain jo har show mein mujhe repeat karne padte hain .

Himanshu : Nahin.. unke liye to aapne ek formula sa bana rakha hoga ki ek gaana purana gayunga usmen ek ghazal hogi usmein ek bhajan hoga .

Mukesh : Vohi farmula taqreeban - taqreeban universal hai . Sab jagah wahi baat hai .

Himanshu : Koi kabhi aesi uljhan aapko ho jaaye ambresment ya sankoch nahi hua jab kisi ne achanak beech mein se kah diya ho ki humko falan gaana Mukesh Sahab sunaiye aur aapko sayad khayaal bhi na aaya ho ki vo to mujhe yaad bhi nahi ki maine gaaya ho ya kisne gaaya ho ?

Mukesh : Nahin...Nahin ( Hanste hue )... Ye to.. Itana to nahi hua magar haan ek kabhi kabhi aese gaane ki request kar deten hain ki vo sayad kabhi dayri mein na likha ho , vaise main dayri ko refer karta rahta hoon , magar koi - koi gaane jo bahut hi purane hon , jo dayri mein bhi na hon to...

Himanshu : ..To aap apni dayri nikar kar is waqt foran mujhe bata sakte hain , kitne gaane gaa cguke hain aap ?

Mukesh : Maine kabhi isko gina hi nahi...Baat ye hai ki jo kal ho chuka hai usko ginkar kya fayeda ?

Himanshu : ...Matalb kal ki dayri aap nahi dekhte...

Mukesh : ...Matlab ye jo likh liye unko ginna kya... vo to ho gaye...

Himanshu : Waise kya andaja hai ? Kitne gaane gaaye honge aapne ?

Mukesh : Mere khayal se 1000 ya 1200

Himanshu : 1000 ya 1200 ? , 200 ka fark koi fark nahi mante aap ?

Mukesh : ...Matlab 200 ka fark ko koi fark nahi mante . 25 saal ke career ke andar . ( Hanste hain )

Himanshu : Achcha aapne Dil jalta hai to jalne do ka jikra kiya . Ye mujhe to Mukesh usi taranh se yaad hain . Main samajhta hoon ki , wahi pahla gaana tha , jisne aapko naam diya , maan diya . Vo gaana jahir hai abhi tak aapko yaad hoga .

Mukesh : Jaroor yaad hai..

Himanshu : Ya usse pahle koi aur lokpriya gaana tha , koi popular gaana...

Mukesh : Jee nahi vo mera zindagi ka pahla gaana vahi hai

Himanshu : Us gaane ke peeche koi kahani hai , koi daanstaan hai

Mukesh : Haan Kahani....

Himanshu : Agar etraaj na ho to hum sunna chahenge..

Mukesh : Main jaroor sunata hoon aapko . Vo gaana tha , agar aap logon ko yaad ho to Motilal pahle apne gaane khud gaaya karte the. Vo pahli picture thi jismein unhone playback lene ki shart manjoor kar li thi aur humne saab ye gaana record kar diya . Jab humne ye gaana record kiya to picture complete hone ke baad ye tay kiya gaya ki usmein se ye gaana nikal diya jaye to hum Mazhar khan sahab ke paas gaye jo is picture ke producer the . Humne unse poocha ki bhai ye gaana ismein se kyon nikal diaya ja raha hai to kahne lage ki bhai baat ye hai ki Motilal jo hain aksar chanchal kisam ke character katen hain aur inke character ko ye sad song sute nahi hota hai .To hum...Hamara bada dil toot gaya hum bade udaas hue , Humne unse kaha Mazhar bhai hamari ek iltaja hai ki aap ye gaana rahne dijeeye .Kahne lage bhai ye chalega nahi , ye bada bore karta hai gaana aur picture ke andar drake karta hai ye. Humne kahan aap rahne deejyee ye hamari request hai . Khair unhone badi jaddo-jahad ke baad is cheej ke uper agree kiya bhai hum 1 week ke liye rakhenge Aur agar public ko ye gaana pasand aaya to ise continue karenge nahin to ise picture se nikaal diya jayega . Aur Sahab mujhe ye kahte hue bada faqra hota hai ki : aaj picture bhi sab loog bhool gaye honge , Sayad Moti Dada ko bhi bhool gaye honge , Sayad Mazhar khan ko bhi bhool gaye hoonge magar us gaane ko sab yaad rakhten hain .

Himanshu : Motilal aur Mazhar Khan ko to koi nahi bhoola hoga .

Mukesh : Nahi Bhule honge...

Himanshu : ...Lakin saath hi main aapko yakeen dila sakta hoon ki vo ek hafta to kya aaj tak logon ko Dil jalta hai to jalne de yaad hai.

Mukesh : Jee Haan

Himanshu : Meri badi ichcha ki aap thodi der ke liye ise gungunaye agar aap bura na mane...

Mukesh : Sun leejeyee. Agar aap kahen to main poora gaana sunayunga .

Himanshu : Haan...Haan...Jaroor

Mukesh : (Gaate huye) Dil jalta hai to jalne de....Aansoo na baha fariyaad na kar....Dil Jalta hai to jalne de

Tu pardanashi ka aashiq hai , yoon naam -e- wafa barbaad na kar...Dil jalta hai to jalne de .

Himanshu : Bahut khoob Sahab !!...Bahut khoob !!! . Mukeshji ye gaana jahir hai aapka bahut hi popular tha , bahut hi lokpriya tha . Iske alava aapko...aapki raay mein koun sa aur gaana tha jo ki sabse jyada popular hua ?

Mukesh : Popular ya... ?

Himanshu : ...Logon ko pasand hai ya..

Mukesh : ...Logon ko pasand hai Aawara .

Himanshu : Aawara ! Jee haan mera bhi yahi khayal tha .

Mukesh : Vo itna international fame is gaane ko mila.. Baat ye hai ki kuch to picture , kuch is kisam ka music...Kuch vo...Kuch aesa vatavaran ban gaya tha us waqt . Ki mere khayal se usse jyada popual koi bhi Indian gaana abhi tak nahi hua.

Himanshu : Ye...Badi harani ki baat hai.. Desh - videsh mein mere bahut se dost hain , America mein mujhe yaad hai , Turki mein , Iraan mein , Ruse ke kuchch log mujhe aise mile hain , jinhone milte Sahab pahla sawal yahi kiya ki bhai vo Aawara hoon... Bol bhi nahi paate the dheek se. Lakin vo...Itna unhen yaad tha . Aawara hoon . Ye kisne gaaya hai ? Kab gaaya hai ? Vo Sahab Koun Hain ?

Mukesh : ( Hanste Hain )

Himanshu : To aap ne bhi dekha hoga ki ye logon ko bahut pasand hai ?

Mukesh : Jee Haan...Jee Haan

Himanshu : To aapki raay mein kya vajah hai ki bahar walon ko bhi jo hamari jubaan bhi nahi jante

source:
http://www.singermukesh.com/

2 Comments:

  • At 1:00 AM, Blogger Sunita said…

    My favorite singer!! I found that the interviewer was a bit rude to this legend..

     
  • At 4:37 AM, Blogger Unknown said…

    Rarest Article

     

Post a Comment

<< Home